Monday, October 29, 2007

Door kahin koi rota he

Tan par pehra bhatak raha maan,
Sathi he kewal soonapan,
bhichad gaya kya swajan kisi ka,
krindan sada karun hota he.

Janma diwas par hum ithlate,
kyo na maran tyohar manate,
antim yatra ke awsar par,
aansuon ka apshagun hota he.

Antar roye aankh na roye,
dhul jayenge swapna sanjoye,
chalana bhare vishwa me kewal,
sapna hi to sach hota he.

Is jeevan se mrityu bhali he,
aantakit jab gali gali he,
me bhi rota aas paas jab,
door kahin koi rota he.

Wednesday, October 10, 2007

Parakhna mat ke parkhane me koi apna nahi rahta
bahut der tak aine me koi chehra nahi rahta
bas jae ek bar jab koi is dil me
dil phir bahut der naraz nahi rahta